Wednesday, November 16, 2005

Mujhay bas itna kehna hai

Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro gay
Hamain tum saath pao gay.....

Wednesday, November 02, 2005

Shairi....

aaghaz tu hota hay anjaam nahi hota----jab mari kahani ma wo naam nahi hota

pak gayaa hai shajar pe phal shayaad---phir se patthar uchhalataa hai koii

apni qismat pa naz kerta hon --- jab taray shaher say guzerta hon

meray dil ke rakh mat kuraid muskura kar usay hawa na day ..... ye charag phir chirag hai tera haat kahin jala na day

Koi marta nahin kisi ke liye --- Zindagi apni sab ko payari hai.

mudat hoi koi shakhs rulanain nahin aya-----jultee hoi ankhon ko bujanain nahin aya----kehta tha
hum saath jiyain gay sath marain gay----ab rooth gaye hain to mananain nahin aya

Rehta tha jis ke gird har waqat doston ka mela --- Ek din woh shakas ehsas e tanhai se mar gaya.

jab mohabbat ka junnon thaa.wo zamana auR thaa...aub ana ka masla hai..wo khud chal kar ai ga...

nakhuda man ka bathay han jin ki kishti ma ----wo hum ko mujoon ma laye thay dobonay ka liyay

dakhta kon hay sani itni bulandiyon ki taraf---na uthaya karo sar ko ka dastaar giray

Aa andaleeb mil kar kareN aah-wuzaariyaN...........tu hai gul pukaar maiN chillauN haai dil

huzaar dushna wo khunjar thay mairay lehjay main ........tairi zubaan pay khabi hurf-e narwa na howa...........huzaar shumoon ka bunta raha main purwana........kisi ka ghur, tairay dil main mairay siwa na howa

Main is azeem khushi ka na hoo sakoon ga hareef ---- Mujahr khuda kay liye apna aashna na bana.

Zindadi ek sulagti se chita hai sani ---- Shola banti hai na ye bujh ke dohwan hoti hai.

Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag,,,,,,,,Mana key in ki roshni tum para ayaan nahin

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi…..Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi

Marnay se phelay zeest hai jeenay ke baad moot  per zeest aur maoot ke hai dermian kya.

tari rahoon ma bar_haa ruk ker---hum nay apna hi intazar kiya

taray dam say hi ma mukammal hunn--- bin taray tari yamani kam hay

dil ko kaya ho gaya khuda janay--- kyun hay aysa udaas kaya janay

Galat nahin key zamaney mein la jawaab hain hum,,,,,,,, Samajh sakey na koi woh kitaab hain hum

Tumhe Khud Nahi Malum Ke Tum Kya Ho,,,,Yehi Waja HAI Ke Tum Auron Se Yoon Juda Ho.........Inhi Adaaon Pe Hain Hum Mushter Tere,,,,Jaise Badlon Ke Pitchaa

Khataaon pe jo mujhako mayil kare phirsazaa aur aisii sazaa chaahataa huun

dukh howa kerta hay kuch oor bayan---bat kuch ore howa kerti hay

Koi to hai Sani jisay fikar hai meri  Ye jaan kar ajeeb se hairat hoi mujhay.

Main is azeem khushi ka na hoo sakoon ga hareef  Mujahr khuda kay liye apna aashna na bana.

tujhe dhoondtaa huun trii justajuu haimazaa hai Khud gum huaa chaahataa huun

Tamam umar jeye aur kuch na kar paye  Kise ke ho kay rahay aur apna na kar paye  Zamana is hawalay se yaad karta hai  Ke jis ke apnay sitary kabhi na milpaye.

Mil Gya Tha Tu Ussay Khud Say Khuffa Rhukhna Tha...............Dil Ko Kuch Dair Tu Musroof-e-Dua Rhukhna Tha

labon pe geet to aankhon mein khwab rakhte thay.. kabhi kitabon mein hum bhi gulaab rakhte thay .. kabhi kisi ka jo hota tha intezar humain..bara hi sham o sehar ka hisaab rakhte thay

rishton ki human pahchan na the itni pahlay--kahnay ko apnay marasim tu thay bohat gahray---askon ka siwa likin kuch bhe na mila hum ko

aa_iine kii aankh hii kuchh kam na thii mere liyejaane ab kyaa kyaa dikhaayegaa tumhaaraa dekhanaa

Bas ik qadam utha tha galat rah-e-shok main..............Manzil tamam umer mujhay dhondhti rahi

aaghaz tu hota hay anjaam nahi hota----jab mari kahani ma wo naam nahi hota

pak gayaa hai shajar pe phal shayaad---phir se patthar uchhalataa hai koii

Dil ko us rah per chalana hi nahi ---jo mujhay tujh say juda kerti hay

Ayi na thi kabhi meray lafzon mein roshni,,,,,,,,,,,,,,,,,,Aur mujh sey yeh kamaal tujhey dekh kar hua

Sufar Kuch Aur Bhi Mushkill Kut Ta, Agar Yeh Rasta Humwaar Hota.....Jo Teri Arzo Na Mujh Ko Hoti, Tu Koi Dosra Aazar Hota

tairay ghumoon nay mairay hur nishaat ko sumhja........maira nishaat tairay ghum say aashna na howa........khaan khaan na mairay paoon lur kharay mugar .........taira subaat ajab tha kay haadsa na howa

rukane kaa samay guzar gayaa haijaanaa teraa ab Thahar gayaa hai

beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angushtret par naam likhaa karatii hai

Sunday, October 30, 2005

Main ne Pyaar kya to.....

Dedicated 2 a Befawa

Main ne parindo se pyaar kya to...

Woh urh gayay.

Main ne sooraj se pyaar kya to...

Woh gharoob ho gaya.

Main ne chand se pyaar kya to...

Woh badlon main chup gaya.

Main ne pani se pyaar kya to...

Woh beh gaya.

Main ne baraf se pyaar kya to...

Woh pighal gayi.

Main ne barish se pyaar kya to...

Woh baras k thum gayi.

Main ne aag se pyaar kya to...

Woh bujh gayi.

Main ne phoolon se pyaar kya to...

Woh murjha gayay.

Main ne kanto se pyaar kya to...

Wo toot gayay.

Main ne janwaron se pyaar kya to...

Woh meri zaban na samjh sakay.

Or Jab...Main ne insaanon se pyaar kya to...

Woh Be-Wafa Niklay

Monday, May 09, 2005

web

Tuesday, March 15, 2005

Ajnabi Ban jaien

Chalo aik baar phir se ajnabi ban jaien hum dono,

Na main tum se koi umeed rakhon dilnawazi ki,

Na tum mairi taraf dekho ghalat andaz nazron se,

Na meray dil ki dharkan larkharaiey mairi baton se,

Na zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se,

Tumhay bhi koi uljhan rokti hai paishqadmi se,

Mujhay bhi log kehtay hain yeh jalway paraiey hain,

Meray hamraah bhi ruswaiyan hain meray mazi ki,

Tumharay saath bhi guzri hui raton kay saye hain,

Taruf rog hojaiey tu is ka bholna acha,

Taluq bojh ban jaiey tu is ko torna acha,

Woh afsana jisay anjam tak lana na mumkin ho,

Usay aik khobsorat mor de kar chorna acha.

Friday, March 11, 2005

Aankh hai Bhari Aur Tum....

AANKH HAI BHARI BHARI AUR TUM MUSKURANE KI BAAT KERTE HO
ZINDAGI KHAFA KHAFA AUR TUM DIL LAGANE KI BAAT KERTE HO

MERE HALAATH AESE HEIN KE MEIN KUCH KER NAHEIN SAKHTA
TARAPTA HAI YE DIL LEKIN YE AAHEIN BHAR NAHEIN SAKHTA
ZAKHM HAI HARA HARA AUR TUM CHAUT KHANE KI BAAT KERTE HO

ZAMANE MEIN BHALA KAISE LOOG KERTE HEIN
WAFA KE NAAM KI AB TU SHIKAYAT LOOG KERTE HEIN
AAG HAI BHUJHI BHUJI AUR TUM YUN JALANE KI BAAT KERTE HO

KABHI JO KHWAAB DEKHA TU MILI PARCHAHIYAN MUJHKO
MUJEH MEHFIL KI KWAHISH THI MILI TANHAHIYAN MUJHKO
HAR TARAF DHUAN DHUAN AUR TUM AAHIYANE KI BAAT KERTE HO

Saabet Howa .....


Saabet hoowa keh mohabbat nahin rahi
woh shakhs muj ko daikh ker aankhain chora ghiaa
Shahr-e sadaa per kab kisi nay kaan dheraa
sadee sadee per her lemhaa phail ghiaa
Ker lee us nay phir gham-e jaana say doasti
lo apnay haath say dil-e nadaan be ghiaa
Phati phati hoowee aankhon say yon na daikh mujay
tujay talaash hey jis shakhs ki woh mer be ghiaaa

Kaun kehta hai mohabbat ......

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...

Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain !

Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...

Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain !

Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...

Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain !

Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...

Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain !

Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...

Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain !

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...

Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain !

Hansti Gaati iss duniya main

Hansti Gaati iss duniya main
Pehley din say aik safar hay
Jiss main Loug bichar sitaaron jesay
Miltay aur Bichar Jatey hain!
Jin peron ki chaoon hay sab per
Esay pair laganey waley
Piyaarey loug guzar jaatey hain
Aur safar jaari rehta hay
Raah tamam nahi hoti hay
Sacha Ishq to esa din hay
Jiss ki shaam nahi hoti hay
Daman Khaali bhi rehtey hain
Phoolon say bhar bhi jaatey hain
Aankhain pathar Hojatin hain
Puray Khuwab nahi hotey hain
Purey Khuwab nahi hotey hain!!

Bhanwae Ki God.........

bhanwar ki god main jese kinara sath rehta hai
kuch aese tumara humara sath rehta hai
muhabat ho ker nafrat ho usi se mashwara hoga
meri hur kefyet main astkhara sath rehta hai
safer main aen mumkin hai main khud ko
chorr do lekin duwain kerne walo ka sahara sath rehta hai
mere AllAh ne mujh ko chahato ki saltanat di hai
mager pehli muhabat ka khsara sath rehta hai
ager che mere lub per muhabat muhabat he hai
to yeh kis liye nafrat ka dhara rehta hai

Choup Choup Ker Wo Tera Dekhna Acha Laga

Choup Choup Ker Wo Tera Dekhna Acha Laga
Phir Dekh Ke Wo Muskurana Acha Laga
Teri Pehli See Muskaan Ne Ker Diya Ghayal
Yahan Tera Shikari Nishana Acha Laga
Jub Huwa Izhar-e-Muhabat To Jinay Marnay Ki Bhi KhaiQasmain
Wo Tera Izhar Ashqana Acha Laga
Phir Chaltay Chaltay Kya Huwa Tum Wada Wafa Ka Bhol Bethay
Youn Tera Wada Pe Mukarna Acha Laga
Tum Sai Juda Ho Ke Ik Pal Bhi Na Chain Paya Dil Ne
Bas Youn Baichain Dil Ko Behlana Acha Laga
Teri Bewafai Ke Baad Buhat Bigher Gaya Houn
Zindagi Main Youn Bigher Jana Acha Laga

Mujhay aur kahin le chal sanwal

Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan raat kabhi b soi na ho
jahan subah kissi pe roi na ho
jahan hijer ne wehshat boi na ho
jahan koi kissi ki khoi na ho
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan shaher hoon sare wairane
jahan loog sabhi hoon baigane
jahan sab k sab hoon dewane

jahan koi humain na pehchane
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan nafrat dil mein bus na sake
jahan koi kissi ko dus na sake
jahan koi kissi pe huss na sake
jahan koi b gunjal kass na sake
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan dard kissi ko raas na ho
jahan koi b uddas na ho
jahan zulmat ki boo bass na ho

jahan too b ziada pass na ho
Mujhay aur kahin le chal sanwal

Zaberdast Sad Shairri

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
1.Hasraton ki nigaho pe sakht pehra hai,Na jane kis umeed pe ye dil thehra hai,Teri chahton ki kasam ae dost,Apni dosti ka rishta pyar se bahut zyada gehra hai.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
2.Chand ki raton mein sara jahan sota hai,Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb rota hai,Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,Agar kare to kisi ko juda na kare.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
3.Ishq ke rishte kitne ajib hote hai.Durr rehke bhi kitne karib hote hai,Meri barbadi ka gum na karo yaro,Ye to apne apne nasib hote hai.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
4.Deewane hai tere naam ke is baat se inkar nahi,Kaise kahe ki hume aapse pyar nahi,Kuch to kasoor hai aapki adao ka,Hum akele to gunhegar nahi.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
5.Mera din teri raat se achha hoga,Mera dil tere jazbaat se achha hoga,Jis din niklegi teri doli,Ghoonghat utha ke dekhnamera janaza bhi teri doli se achha hoga.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
6.Khamosh se tum rehne lage ho,Intezaar kisika karne lage ho,Yakinan kisise hui hai mohabbat,Bina baat ke hi muskurane lage ho.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
7.Lehar aati hai kinare se palat jati hai,Yaad aati hai dil mein sama jati hai,Lehar aur yaad mein fark sirf itna hai,Lehar bewaqt aati hai aur yaad har waqt aati hai.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
8.Khuda se maine ek dua maangi,Dua main apni maut maangi,Phir khuda ne kaha maut to tujhe mein de du,Par usko kya kahu jisne teri lambi umar maangi.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
9.Pyar kya hota hai?… Kya ye kabhi pura hota hai?Aji ye kya pura hoga,Iska to pehla akshar hi adhura hota hai.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
10.Tanhai mein waqt barbad kiya karte hai,Hum har din har pal tumhe yaad kiya karte hai,Mein nahi jaanta gharwale batate hai,Hum neend mein bhi aapka naam liya karte hai.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
11.Zaruri to nahi jine ke liye sahara ho,Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho,Kuch kashtiya doob bhi jaya karti hai,Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
12.Yeh mat sochna bhool jayenge tumhe,Door rehkar bhi chahenge tumhe,Agar dost banker raas na aaye,To ajnabee banker bhi yaad aayenge tumhe.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
13.Sirf chahne se mulakat nahi hoti,Suraj ke saath kabhi raat nahi hoti,Hum jise chahete hai jaan se bhi jayada,Saamne hote hai par baat nahi hoti.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
14.Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jata,Dil mein lagi aag ko dikhaya nahi jata,Kitni bhi doori ho dosti mein,Aap jaise dost ko bhulaya nahi jata.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
15.Zindagi mohtaz nahi manzilo ki,Waqt har manzil dikha deta hai.Marta nahi ko kisi se juda hoke,Waqt sabko jeena sikha deta hai.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^
16.Maine dil ko lakh samjhaya ki e dilunko yaad karna chod depar dil ke har kone se awaz aai,yahan to har saans mein wo base hainto kya saans lena chod de.AND THIS TIME'S LAST.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^

17.Dil mein ummidon ki shama jala rakhi hai.Hum ne apni alag duniya basa rakhi hai.Is yakin ke saath ki ayega aapka reply.Humne apni nazar mail par bichha rakhi hai.

^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^-.,.-^

Tarpa Gai Rula Gai Jala Gai


Tarpa Gai Rula Gai Jala Gai

Phir Bhi Humain Pyar Sikha Gai
Us Ki Ik Bewafai Ki Ada Humain

Zindagi Ka Sabaq Sikha Gai
Tarpa Gai Rula Gai Jala Gai

Phir Bhi Humain Pyar Sikha Gai
Dil Lagaya Tha Hum Ne Us Dilruba Se

Jo Jate Jate Bhi Duwa De Gai

Tarpa Gai Rula Gai phir Bhi Humain Pyar Sikha Gai

Yeh Muhabat Bhi Haseen Rishta Hai
Wo Dil Main Humare Uter Gai

Tarpa Gai Rula Gai Phir Bhi Humain Pyar Sikha Gai

Shakil Un Ki Yaad Main Soya Nahi Raat Bhar..

Wo Subha Humain Dikha Gai

Tarpa Gai Rula Gai

Phir Bhi Humain Pyar Sikha Gai

Wednesday, March 09, 2005

AAB KEY YOON

Ab Ke Yoon Dil Ko Saza Di Hum NeUs Ki Her Baat Bhula Di Hum Ney
Eik , Eik Phool Bohat Yaad AayaShakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Ney
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay HainBaat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Ney
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad HuaAag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Ney
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya WohAaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat Hai Us Main ANMOL Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Ney.

Kuch Loog....

Kuch loog bicha ker kanto ko gulshan ki tawaqo rakhtey hein

Sholou ko hawaein dey dey ker sawan ki tawaqo rakhtey hein
Mahhol key taptey sehra sey haalat ki ujari shahoo sey
Hum ahley januu phoolo sey bherey damun ki tawaqo rakhtey hein
Jub sara asasa lut jay taskeen e safar ho jati hey
Hum rahnumaoo key badley rahzun ki tawaqo rakhtey hein
Sangeen chetano sey dil key dukhney ki shikayet kertey hein
Zulmat key nager mey noorani angun ki tawaqo rakhtey hein
Wo geysu e jana ho ya saghar ya gardesh e doraan key saye
Ey waye muqader dono sey uljhan ki tawaqo rakhtey hein