Teari Be-rukhi Ka Sadma
Teri be-rukhi ka sadma main uththaoon ab kahan tak
Mere saath jo bhi beeti woh sunaoon ab kahan tak
Meri manzilain nidard mere raaste pareshaan
Ghum-e-zindagi bata de k main jaoon ab kahan tak
Mere pass phool hai na koi phool jaisa chehra
Yoonhi seajh be-bassi ki main sajaoon ab kahan tak
Meri chahaton ki yaadein meri zaat main muqayyad
Mujhe tu he kuch bata de main bhulaoon ab kahan tak
Mere har taraf hai jaise ghum-e-aarzu ka paani
Teri yaad main yeh aansu main bahaoon ab kahan tak

0 Comments:
Post a Comment
<< Home