Ajnabi Ban jaien
Chalo aik baar phir se ajnabi ban jaien hum dono,
Na main tum se koi umeed rakhon dilnawazi ki,
Na tum mairi taraf dekho ghalat andaz nazron se,
Na meray dil ki dharkan larkharaiey mairi baton se,
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se,
Tumhay bhi koi uljhan rokti hai paishqadmi se,
Mujhay bhi log kehtay hain yeh jalway paraiey hain,
Meray hamraah bhi ruswaiyan hain meray mazi ki,
Tumharay saath bhi guzri hui raton kay saye hain,
Taruf rog hojaiey tu is ka bholna acha,
Taluq bojh ban jaiey tu is ko torna acha,
Woh afsana jisay anjam tak lana na mumkin ho,
Usay aik khobsorat mor de kar chorna acha.

0 Comments:
Post a Comment
<< Home