Ankhon ke Aaine
Yeh baat khas nahi pattharon ki basti mein
Na pooch toot gaya dil ka aaina kaise
Aaine se bhala kahan nisbat dilwalon
Dil bari khamoshi se toota huwa tha
Bat jaen gi karchiyan bhi tere wajood ki
Mughe ko na to dekh tera aaina hoon mein
Dab-daba aae misal aaine ke ashk se ankh
Aa gai yaad kisi rukh ki safai mughe ko
Dhoond mughe bhi kabhi meh-e-aainda dari
Mein tera aks hoon laiken tughe dikhai na doon
Ankhon ke aaine mein tere dil ka aks hai
Logon se apna raaz kahan tak chupaoon gi
Hum ne jo kharida hai yeh aaina nahi hai
Khud apne chehre ke kharidar hain hum log
Aaonda toota to kitne aainon mein bat gaya
Aks to tha aik kitne zadiyon mein bat gaya

0 Comments:
Post a Comment
<< Home