Wednesday, March 02, 2005

Lufzoon Main Fasanay

LufzoN mein fusaanay dhoondtay hein hum log
LumhoN mein zamaanay dhoondtay hein hum log
Tu zeher hi de sharaab keh ker saqi
Jeenay ke bahaanay dhoondtay hein hum log
Her zakhum ko seenay pay saja letey hein
Her dard ko hum dil mein basa letey hein
Tum pholoon pe sotay ho to dukhta hai badan
Hum kantoon ko aankhoN se laga letey hein
Hum hi mein thee na koi baat, yaad hi na tumko aa sakey
Tumnay hamein bhula diya, hum na tumhay bhula sakey !
Tum hi na sun sakey agar, kisa-e-gham sunayga kaun
Kis ki zubaan khulegi phir, hum na agar suna sakey
Shauk-e-visaal hain yahan, lab pay sawaal hain yahan
Kis ki majaal hain yahan, hum say nazar mila sakay
Kya khabar thi is tarah say woh juda ho jayega
Khawab mein bhi uska milna haadsa ho jayega !
Zindagi ki qaid-e-gham say kya nikalogay usay
Maut jab aa jaayegi to khud riha ho jayega !
Dost bankar usko chaha yeh kabhi socha na tha
Dosti hi dosti mein woh khuda ho jayega !
Uska parda hoga kya jiska ki parda noor hai
Jo bhi usko dekh lega woh fida ho jayega !

0 Comments:

Post a Comment

<< Home