Wednesday, November 02, 2005

Shairi....

aaghaz tu hota hay anjaam nahi hota----jab mari kahani ma wo naam nahi hota

pak gayaa hai shajar pe phal shayaad---phir se patthar uchhalataa hai koii

apni qismat pa naz kerta hon --- jab taray shaher say guzerta hon

meray dil ke rakh mat kuraid muskura kar usay hawa na day ..... ye charag phir chirag hai tera haat kahin jala na day

Koi marta nahin kisi ke liye --- Zindagi apni sab ko payari hai.

mudat hoi koi shakhs rulanain nahin aya-----jultee hoi ankhon ko bujanain nahin aya----kehta tha
hum saath jiyain gay sath marain gay----ab rooth gaye hain to mananain nahin aya

Rehta tha jis ke gird har waqat doston ka mela --- Ek din woh shakas ehsas e tanhai se mar gaya.

jab mohabbat ka junnon thaa.wo zamana auR thaa...aub ana ka masla hai..wo khud chal kar ai ga...

nakhuda man ka bathay han jin ki kishti ma ----wo hum ko mujoon ma laye thay dobonay ka liyay

dakhta kon hay sani itni bulandiyon ki taraf---na uthaya karo sar ko ka dastaar giray

Aa andaleeb mil kar kareN aah-wuzaariyaN...........tu hai gul pukaar maiN chillauN haai dil

huzaar dushna wo khunjar thay mairay lehjay main ........tairi zubaan pay khabi hurf-e narwa na howa...........huzaar shumoon ka bunta raha main purwana........kisi ka ghur, tairay dil main mairay siwa na howa

Main is azeem khushi ka na hoo sakoon ga hareef ---- Mujahr khuda kay liye apna aashna na bana.

Zindadi ek sulagti se chita hai sani ---- Shola banti hai na ye bujh ke dohwan hoti hai.

Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag,,,,,,,,Mana key in ki roshni tum para ayaan nahin

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi…..Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi

Marnay se phelay zeest hai jeenay ke baad moot  per zeest aur maoot ke hai dermian kya.

tari rahoon ma bar_haa ruk ker---hum nay apna hi intazar kiya

taray dam say hi ma mukammal hunn--- bin taray tari yamani kam hay

dil ko kaya ho gaya khuda janay--- kyun hay aysa udaas kaya janay

Galat nahin key zamaney mein la jawaab hain hum,,,,,,,, Samajh sakey na koi woh kitaab hain hum

Tumhe Khud Nahi Malum Ke Tum Kya Ho,,,,Yehi Waja HAI Ke Tum Auron Se Yoon Juda Ho.........Inhi Adaaon Pe Hain Hum Mushter Tere,,,,Jaise Badlon Ke Pitchaa

Khataaon pe jo mujhako mayil kare phirsazaa aur aisii sazaa chaahataa huun

dukh howa kerta hay kuch oor bayan---bat kuch ore howa kerti hay

Koi to hai Sani jisay fikar hai meri  Ye jaan kar ajeeb se hairat hoi mujhay.

Main is azeem khushi ka na hoo sakoon ga hareef  Mujahr khuda kay liye apna aashna na bana.

tujhe dhoondtaa huun trii justajuu haimazaa hai Khud gum huaa chaahataa huun

Tamam umar jeye aur kuch na kar paye  Kise ke ho kay rahay aur apna na kar paye  Zamana is hawalay se yaad karta hai  Ke jis ke apnay sitary kabhi na milpaye.

Mil Gya Tha Tu Ussay Khud Say Khuffa Rhukhna Tha...............Dil Ko Kuch Dair Tu Musroof-e-Dua Rhukhna Tha

labon pe geet to aankhon mein khwab rakhte thay.. kabhi kitabon mein hum bhi gulaab rakhte thay .. kabhi kisi ka jo hota tha intezar humain..bara hi sham o sehar ka hisaab rakhte thay

rishton ki human pahchan na the itni pahlay--kahnay ko apnay marasim tu thay bohat gahray---askon ka siwa likin kuch bhe na mila hum ko

aa_iine kii aankh hii kuchh kam na thii mere liyejaane ab kyaa kyaa dikhaayegaa tumhaaraa dekhanaa

Bas ik qadam utha tha galat rah-e-shok main..............Manzil tamam umer mujhay dhondhti rahi

aaghaz tu hota hay anjaam nahi hota----jab mari kahani ma wo naam nahi hota

pak gayaa hai shajar pe phal shayaad---phir se patthar uchhalataa hai koii

Dil ko us rah per chalana hi nahi ---jo mujhay tujh say juda kerti hay

Ayi na thi kabhi meray lafzon mein roshni,,,,,,,,,,,,,,,,,,Aur mujh sey yeh kamaal tujhey dekh kar hua

Sufar Kuch Aur Bhi Mushkill Kut Ta, Agar Yeh Rasta Humwaar Hota.....Jo Teri Arzo Na Mujh Ko Hoti, Tu Koi Dosra Aazar Hota

tairay ghumoon nay mairay hur nishaat ko sumhja........maira nishaat tairay ghum say aashna na howa........khaan khaan na mairay paoon lur kharay mugar .........taira subaat ajab tha kay haadsa na howa

rukane kaa samay guzar gayaa haijaanaa teraa ab Thahar gayaa hai

beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angushtret par naam likhaa karatii hai

0 Comments:

Post a Comment

<< Home